उपदेश
किसी के उपदेशों से आशंका झलक रही है,
जो मुझे उन्नति की राह में परास्त कर रही है !
किसी के उपदेशों से ख़ुदगर्ज़ी चहक रही है,
जो मुझे निरंतर मूर्ख होने का आदी बना रही है !
किसी के उपदेशों से असभ्यता महक रही है,
जो मुझे सभी सभ्यताओं से लाचार बना रही है !
किसी के उपदेशों से विशुद्धता झलक रही है,
जो मुझे निरंतर गूढ़ चिंताओं में धकेल रही है !
किसी के उपदेशों से अस्पष्टता चहक रही है,
जो मुझे सांसारिक तमाशे का पात्र बना रही है !
किसी के उपदेशों से शत्रुता महक रही है !
जो मुझे उद्देश्यों से बेसहारा कर रही है...!!!
Updesh
Kisi Ke Updesho Se Aashanka Jhalak Rahi Hai,
Jo Mujhe Unnati Ki Raah Mein Parast Kar Rahi Hai !
Kisi Ke Updesho Se Khudgarzi Chahak Rahi Hai,
Jo Mujhe Nirantar Murkh Hone Ka Aadi Bana Rahi Hai !
Kisi Ke Updesho Se Asabhyata Mahak Rahi Hai,
Jo Mujhe Sabhi Sabhyatao Se Lachar Bana Rahi Hai !
Kisi Ke Updesho Se Vishuddhata Jhalak Rahi Hai,
Jo Mujhe Nirantar Gudh Chintao Mein Dhakel Rahi Hai !
Kisi Ke Updesho Se Aspashtata Chahak Rahi Hai,
Jo Mujhe Sansarik Tamashe Ka Patra Bana Rahi Hai !
Kisi Ke Updesho Se Shatruta Mahak Rahi Hai !
Jo Mujhe Uddeshyo Se Besahara Kar Rahi Hai...!!!
Also Read This Poetry :
1 Comments
Mam great word's
ReplyDelete